Ek samay ki bat hai ; amravat nam ka ek Ghana jungle meghalaya ke gontoor kasbe ke pass hua karta tha . kaha jata tha ki us baqt bharat ke sabse khoufnak junglo ke namo me ,sabse pahla nam amravat jungle ka hi aata tha. koi bhi is amravat jungle me Jane ki himmat nhi juta pata tha .sab iska nam sunkar se hi kap jate the... jaisee ki mano bo ek jungle na hokarke ek shrap ho... jo nam lene; ya sunlene bhar se hi logo ke dilo me dehshat ka mahoul bana deta ho.
Amravat jungle ki dehsat ke kisse mano us baqt har jagah charchit the... phir chahe bo hamara desh ho ya fir koi aur....
Ese me, us smay hamare desh ka hi ek new channel ''khoj" : jo us dour me khasa logo me apni pakad nhi bana pa rha hota hai . apne anchor se ek bayan dilwata hai ki "amravat jungle me esa kuch bhi nhi hai jisse logo ko khatra ho'' bo apni news me dikhata hai ki kaise logo me andhvisvas ab aur bhi badta ja rha hai. aur bo sabse kahta hai ki agar hame ye andhvisvas logo me khatm karna hai to hame aage badkar kaise ese rokna chahiye.
ese me ye channel es bat ka daba karta hai ki bo is baat ki sacchai ko jald hi sabse samne lakar rahega ki meghalaya ke us amravat jungle me esa kuch bhi nhi hai jisse kisi ko koi bhi khatra ho. bo jald hi apne es bayan ko lekar sari surkhiyo batorne lagta hai aur dekhte hi dekhte ''khoj" channel ki trp baki sabhi news channels se kafi aage bad jati hai.
apna Ye bayan dekar ''khoj"channel ab kahi na kahi logo ki najar ko kisi chumbak ki taraf apni or aakrashit karleta hai.
ab ''khoj" channel logo ka bharosha jeetne ke liye aur esi tarah aage apne programme ki trp badane ke liye ek dastak nam ka new programme launch karta hai; jisme bo us sabhi koufnak haunted jungle aur haunted places ke bare me baha jakar ,logo se baha ke videos share karke logo ko ye yakeen dilane ki koshish me jut jata hai ki logo ko manghandant bato par yakeen na karke jo sach hai uspar yakeen karna chahiye .
bo apne es programme me kayi haunted places ko add karke baha par apne workers ko bhejta aur baha ki footage logo ke samne dikhata jisse logo ki soch ka kafi hadtak najariya badla . aur log samjhane lage ki har kahi huyi bat par aakh moondkar yakeen nhi karna chaiye.
lekin ''khoj "channel ki muskile abhi khtam nhi huyi thee. kyuki uske baki episodes sahi to ja rhe the lekin usi ke sath amravat jungle ka rahasya kya hai ye bhi logo ko Janne ki utsukta bahut thee . jiski bajah se uske har episodes pr bhari tadat me log #amravat ka rahasya likh kar ye sabal pooch rhe the ki jis news se es channel ki trp badi usne usko abhi tak kyu nhi dikhaya..
aakhirkar ab samay aa gya tha ki khoj channel apni es sabse badi trp dekhne ke liye taiyar tha .
usne apni news me logo ko bataya ki bo ab amravati jungle ka rahsya se jald hi parda uthane bala hai ....
logo ko ab amravati jungle ka raj Janne ke liye jyada intezar nhi karna padega..
esi ke sath khoj channel ki team ab amravati jungle ki haquiqat Janne ke liye meghalaya nikal padti hai.
Write professional articles using your phone. Experience the future of crypto rewards with Storypop's BETA on Android. Sign up now and unlock
exclusive NFTs, rewards and more.